Urdu sher-o-shayari

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Har ek baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
Mirza Ghalib

hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay
(There are other poets in the world that are very good)

kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur....
(they say but that the way Ghalib puts it, is something else..)


Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
(now u only tell wat is this way to talk like this..)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
(now u only tell wat is this way to talk like this..)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
(i am not fond of seeing them flow in the veins)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
(i am not fond of seeing them flow in the veins)

Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai
(when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal
(i am not fond of seeing them flow in the veins)

Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai
(when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood)

chipak raha badan par lahu se pairaahan
hamare jeb ko ab haajat-e-rafu kya hai


(When my bloodied clothes are sticking to my body...What is the use of mending/darning my pocket then)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
(when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
(when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

Kuraidtay ho jo ab raakh justajoo kya hai
(now why do u scratch these ashes..wat do u really want now)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee
(There remains none but little strength to speak)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee
(There remains none but little strength to speak)


to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai
(then on wat hope should i tell u wat is my wish)

to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai
(then on wat hope should i tell u wat is my wish)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai
(now u only tell wat is this way to talk like this..)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai
(on just about every thing u tell me who u are)


 
Last edited by a moderator:

hit&run

United States of Hindu Empire
Mod
Joined
May 29, 2009
Messages
14,104
Likes
63,370
Arziyaan saari main chehre pe likh ke laaya hoon
(I have come here with all the requests and desires having written on my face itself)

Tumse kya maangoon main, tum khud hi samajh lo
(what should I beg of You? i leave it on you, please understand it yourself)

ya Maula
(o Lord)

Maula maula mere maula
(o my Lord)

Maula maula maula mere maula

Maula maula maula maula

Daraarein daraarein hain maathey pe maula
(Caracks and many cracks are on my forehead, (my fortune is not good)

Marammat muqaddar ki kardo maula
(please repair my luck, o Lord)

mere maula

Tere dar pe jhuka hoon mita hoon bana hoon
(time and again I bowed at Your doorstep (in front of You), I got
destroyed here, I got revived here)

Marammat muqaddar ki kardo maula
(please repair my luck, o Lord)

Jo bhi tere dar aaya
(whoever came at Your doorstep)

Jhukne jo sar aaya
(whichever head came here with intention to bow here)

Mastiyaan piye sabko jhoomta nazar aaya
(having drunk the enjoyments that he found here, everybody saw him
staggering)

pyaas leke aaya tha dariya wo bhar laaya
(whoever had come with thirst in him, he filled a river for him here)

noor ki baarish mein bheegta sa tar aaya
(in the rain of light, he got drenched, and got rescued/satisfied)

maula maula

Jo bhi tere dar aaya

Ho, ek khushboo aati thi
(o' a fragrance used to reach me)

Main bhatakta jaata tha
(I used to keep on getting lost)

Reshami si maaya thi
(there was silky sort of matrix/confusion)

Aur main takta jaata tha
(and I kept on staring at it; lost)

Jab teri gali aaya
(when I came to Your street)

Sach tabhi nazar aaya
(only then, the truth became apparent to me)

Mujh mein hi wo khushboo thi, jisse tune milwaaya
(that frangrance was within me myself only, with whom, You introduced to me, o
Lord)

Maula maula

Toot ke bikharna mujhko zaroor aata hai
(I, of course, know how to get broken and got splattered)

Par na ibaadat waala sha_oor aata hai
(and also I don't know the style/art of praying)

Sazde mein rehne do, ab kahin na jaaoonga
(so Please allow me to remain bowing to You, now, I wouldn't go anywhere else)

Ab jo tumne thukraaya to sanwar na paaoonga
(now, if You reject me, then I wouldn't able to revive again )

Sar uthake maine to kitni khwaahishein ki thi
(I had raised my head in proud and had wished so many wishes)

Kitne khaab dekhe they kitni koshishein ki thi
(how many dreams I had dreamt, how many tries I had made)

Jab tu rubaroo aaya, nazarein na mila paaya
(when You came face to face to me, I couldn't match stare with Your eyes)

Sar jhukaake ek pal mein, maine kya nahi paaya
(but when I bowed my head to you; within a one tiny moment, there was nothing remained left
there that i could not get)

Mora piya ghar aaya
(My beloved has arrived home)
--

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
us kii jaam-e-jam aa.Nkhe.n shiisha-e-badan meraa

Abdullah Kamaal
us kii jaam-e-jam aa.Nkhe.n shiisha-e-badan meraa
us kii band muTThii me.n saaraa baa.Nkpan meraa

aao aaj ham dono.n apanaa apanaa ghar chun le.n
tum tabaah-e-dil le lo Khittaa-e-badan meraa

mai.n ne apane chehare pe sab hunar sajaaye the
faash kar gayaa mujh ko saadaa pairahan meraa

[faash = reveal; pairahan = dress]

dil bhii kho gayaa shaayad shahar ke suraabo.n me.n
ab merii tarah se hai dard bevatan meraa

[suraab = mirage]

ek dasht-e-Khaamoshii ab hmeraa muqaddar hai
yaad besadaa terii zaKhm bechaman meraa

[dasht-e-Khaamoshii = silent wilderness]

roz apanii aa.Nkho.n ke Khvaab Khuun karataa huu.N
haaye kin Ganiimo.n se aa pa.Daa hai ran meraa

[Ganiim = enemy; ran = fight]

maGrabii havaa ne phir ye sandeshaa bhejaa hai
muntazir tumhaaraa hai Khushbuo.n kaa ban meraa

[maGrabii = western; muntazir = waiting]
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii

Abu Talib
kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibo.n ne bekasii bechii

chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz tho.Dii sii zindagii bechii

jab rulaane lage mujhe saaye
mai.n ne uqtaa ke raushanii bechii

ek ham the ke bik gaye Khud hii
varanaa duniyaa ne dostii bechii
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye

Ada Badayuni
ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dil_giir hai.n Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye

lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aaye jo duniyaa me.n to is naam hii aaye

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
aaKhirii Tiis aazamaane ko
Ada Jafri

aaKhirii Tiis aazamaane ko
jii to chaahaa thaa muskuraane ko

yaad itanii bhii saKht_jaa.N to nahii.n
ik gharau.ndaa rahaa hai Dahaane ko

sang_rezo.n me.n Dhal gaye aa.Nsuu
log ha.Nsate rahe dikhaane ko

zaKhm-e-naGmaa bhii lau to detaa hai
ik diyaa rah gayaa jalaane ko

jalane vaale to jal bujhe aaKhir
kaun detaa Khabar zamaane ko

kitane majabuur ho gaye ho.nge
ankahii baat muu.Nh pe laane ko

khul ke ha.Nsanaa to sab ko aataa hai
log tarasate rahe ik bahaane ko

rezaa rezaa bikhar gayaa insaa.N
dil kii viiraaniyaa.N jataane ko

hasarato.n kii panaah_gaaho.n me.n
kyaa Thikaane hai.n sar chhupaane ko

haath kaa.NTo.n se kar liye zaKhmii
phuul baalo.n me.n ik sajaane ko

aas kii baat ho ki saa.Ns 'Ada'
ye Khilaune hai.n TuuT jaane ko
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue
Ada Jafri

har ek harf-e-aarazuu ko daastaa.N kiye hue
zamaanaa ho gayaa hai un ko mahamaa.N kiye hue

suruur-e-aish talKhi-e-hayaat ne bhulaa diyaa
dil-e-hazii.n hai bekasii ko hijr-e-jaa.N kiye hue

kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue vo aaye.nge
vo aaye.nge kalii kalii ko gulistaa.N kiye hue

sukuun-e-dil kii raahato.n ko un se maa.Ng luu.N
sukuun-e-dil kii raahato.n ko bekaraa.N kiye hue

vo aaye.nge to aaye.nge junuun-e-shauq ubhaarane
vo jaaye.nge to jaaye.nge tabaahiyaa.N kiye hue

mai.n un kii bhii nigaah se chhupaa ke un ko dekh luu.N
ki un se bhii hai aaj rashk bad_gumaa.N kiye hue
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
Ada Jafri

na Gubaar me.n na gulaab me.n mujhe dekhanaa
mere dard kii aab-o-tab me.n mujhe dekhanaa

kisii vaqt shaam malaal me.n mujhe sochanaa
kabhii apane dil kii kitaab me.n mujhe dekhanaa

kisii dhun me.n tum bhii jo bastiyo.n ko tyaag do
isii rah-e-Khaanaa_Kharaab me.n mujhe dekhanaa

kisii raat maah-o-najuum se mujhe puuchhanaa
kabhii apanii chashm pur_aab me.n mujhe dekhanaa

isii dil se ho kar guzar gaye ka_ii kaaravaa.N
kii hijrato.n ke zaab me.n mujhe dekhanaa

mai.n na mil sakuu.N bhii to kyaa huaa ke fasaanaa huu.N
na_ii daastaa.N naye baab me.n mujhe dekhanaa

mere Khaar Khaar savaal me.n mujhe Dhuu.NDhanaa
mere giit me.n mere Khvaab me.n mujhe dekhanaa

mere aa.Nsuo.n ne bujhaa_ii thii merii tashnagii
isii barg_ziidaa sahaab me.n mujhe dekhanaaa

vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa
mere roz-o-shab ke hisaab me.n mujhe dekhanaa

jo ta.Dap tujhe kisii aa_iine me.n na mil sake
to phir aa_iine ke javaab me.n mujhe dekhanaa
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii
Ada Jafri

shaayad abhii hai raakh me.n ko_ii sharaar bhii
kyo.n varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii

[sharaar = spark; iztiraar = restlessness]

dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaa
milane ko mil gayaa hai sukuu.N bhii qaraar bhii

[marg-e-dil-e-naamuraad = death of an unsuccessful/unlucky heart]

ab Dhuu.NDhane chale ho musaafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na rahaa jab Gubaar bhii

[hadd-e-nigaah = (to the) limits of one's vision]

har aastaa.N pe naasiyaa_farsaa hai.n aaj vo
jo kal na kar sake the teraa intazaar bhii

[aastaa.N = threshold; naasiyaa_farsaa = one who rubs his forehead]

[ik raah ruk ga_ii to ThiThak kyo.n ga_ii 'Ada'
aabaad bastiyaa.N hai.n pahaa.Do.n ke paar bhii
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa

Adeeb Saharanpuri
ik Khalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.N rahane diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naameharabaa.N rahane diyaa

kitanii diivaaro.n ke saaye haath phailaate rahe
ishq ne lekin hame.n beKhvaanamaa.N rahane diyaa

apane apane hausale apanii talab kii baat hai
chun liyaa hamne unhe.n saaraa jahaa.N rahane diyaa

ye bhii kyaa jiine me.n jiinaa hai baGair un ke "Adeeb"
shama gul kar dii ga_ii baaqii dhuaa.N rahane diyaa
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n

Adeem Hashmi
dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n
itanaa viraa.N to murdaaro.n kaa muqaddar bhii nahii.n

[murdaar = dead people]

Duubatii jaatii hai.n miTTii me.n badan kii kashtiyaa.N
dekhane me.n ye zamii.n ko_ii samandar bhii nahii.n

jitane hangaame the suukhii Tahaniyo.n se jha.D gaye
pe.D par phal bhii nahii.n aa.Ngan me.n patthar bhii nahii.n

Khushk Tahanii par parindaa hai ki pattaa hai 'Adeem'
aashiyaanaa bhii nahii.n jis kaa ko_ii par bhii nahii.n

jitanii pyaarii hai.n merii dharatii jo zanjiire.n 'Adeem'
itanaa pyaaraa to kisii dulhan ko zevar bhii nahii.n
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
Adeem Hashmi

faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa

raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem"
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
kaT hii ga_ii judaa_ii bhii kab yuu.N huaa ke mar gaye
Adeem Hashmi

kaT hii ga_ii judaa_ii bhii kab yuu.N huaa ke mar gaye
tere bhii din guzar gaye mere bhii din guzar gaye

tuu bhii kuchh aur aur hai ham bhii kuchh aur aur hai.n
jaane vo tuu kidhar gayaa jaane vo ham kidhar gaye

raaho.n me.n hii mile the ham raahe.n nasiib ban ga_ii.n
tuu bhii na apane ghar gayaa ham bhii na apane ghar gaye

vo bhii Gubaar-e-Khaak thaa ham bhii Gubaar-e-Khaak the
vo bhii kahii.n bikhar gayaa ham bhii kahii.n bikhar gaye

ko_ii kinaar-e-aab-e-juu baiThaa huaa hai sar_niguu.N
kashti kidhar chalii ga_ii jaane kidhar bha.Nvar gaye

tere liye chale the ham tere liye Thahar gaye
tuu ne kahaa to jii uThe tuu ne kahaa to mar gaye

vaqt hii kuchh judaa_ii kaa itanaa taviil ho gayaa
dil me.n tere firaaq ke jitane the zaKhm bhar gaye

baarish-e-vasl vo hu_ii saaraa Gubaar dhul gayaa
vo bhii nikhar nikhar gayaa ham bhii nikhar nikhar gaye

itane qariib ho gaye itane raqiib ho gaye
vo bhii "Adeem" Dar gayaa ham bhii "Adeem" Dar gaye
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
gajaraa banaa ke le aa maalaniyaa
Afshan Rana

gajaraa banaa ke le aa maalaniyaa
vo aaye hai.n ghar me.n hamaare
der na ab tuu lagaa

saaraa chaman ho jinakaa diivaanaa
aisii kaliyaa.N chun ke laa
laalii ho jin me.n un ke labo.n kii
un ko piro ke le aa

jo bhii dekhe un kii suurat
jhukii jhukii a.Nkhiyo.n se pyaar kare
chandaa jaisaa ruup hai un kaa
aa.Nkho.n me.n ras hai bharaa
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
Afzal Firdaus

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

[tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship]

har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai

[hijr = separation; Gunche = flower buds]
[gul_daan = flower vase]
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
Afzal Minhas

karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa

[karb=vexation/anguish]

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa

[malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form]

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa

zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa

[ataraaf=all around]

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa

[gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume]

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal"
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa

[dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii

Aga Hashr
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking]

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii

[muattar=full of itr]

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se

Aga Hashr
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se

goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai paharo.n zikr tumhaaraa tabiib se

barabaad-e-dil kaa aaKhirii saramaayaa thii ummiid
vo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh Gariib se

dhu.Ndhalaa chalii nigaah dam-e-vaapasii hai ab
aa paas aa ke dekh luu.N tujh ko qariib se
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
Ahmad Kamaal

ajanabii Khauf fizaao.n me.n basaa ho jaise
sahar kaa shahar hii aaseb_zadaa ho jaise

[aaseb_zadaa = haunted]

raat ke pichhale pahar aatii hai.n aavaaze.n sii
duur saharaa me.n ko_ii chiiKh rahaa ho jaise

[chiiKh = scream]

dar-o-diivaar pe chhaa_ii hai udaasii aisii
aaj har ghar se janaazaa-saa uThaa ho jaise

muskuraataa huu.N pa-e-Khaatir-e-ahabaab magar
dukh to chehare kii lakiiro.n pe sajaa ho jaise

[pa-e-Khaatir-e-ahabaab = for the welcome of friends]

ab agar Duub gayaa bhii to maruu.Ngaa na 'Kamaal'
bahate paanii pe meraa naam likhaa ho jaise
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n

Ahmad Kamaal
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n

le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n

phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n

us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n

tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n

log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n
 

Latest Replies

Global Defence

New threads

Articles

Top