Urdu sher-o-shayari

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
لا الہ الا اللہ

-
(اقبال)

-

خودي ہے تيغ، فساں لا الہ الا اللہ
يہ دور اپنے براہيم کي تلاش ميں ہے
صنم کدہ ہے جہاں، لا الہ الا اللہ

کيا ہے تو نے متاع غرور کا سودا
فريب سود و زياں ، لا الہ الا اللہ
يہ مال و دولت دنيا، يہ رشتہ و پيوند
بتان وہم و گماں، لا الہ الا اللہ
خرد ہوئي ہے زمان و مکاں کي زناري
نہ ہے زماں نہ مکاں، لا الہ الا اللہ
يہ نغمہ فصل گل و لالہ کا نہيں پابند
بہار ہو کہ خزاں، لا الہ الا اللہ
اگرچہ بت ہيں جماعت کي آستينوں ميں
مجھے ہے حکم اذاں، لا الہ الا اللہ خودي کا سر نہاں لا الہ الا اللہ

-



Its not a religious poetry its just a definition of KHUDI and the Highlighted verses in red takes the soul of my body - i just love Iqbal
roman plzzz.......find video if you can:)
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa
Ahmed Faraz

us ne sukuut-e-shab me.n bhii apanaa payaam rakh diyaa
hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa me.n aam thii
mai.n ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hai.n
mai.n ne to sab hisaab-e-jaa.N bar_sar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar me.n hii aise bhale suKhan kahe
mai.n ne to us ke paa.No.n me.n saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii me.n bhii Gairat-e-maikashii rahii
us ne jo pher lii nazar mai.n ne bhii jaam rakh diya

aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbate.n tujhe
ke maao.N ne tere naam par bachcho.n ka naam rakh diyaa


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Silsile toaR gaya
Ahmed Faraz - Ghazal -
 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n

Ahmed Faraz
is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n
kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n

tuu bhii hiire se ban gayaa patthar
ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n

ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n
aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n

ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa
Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n

ab ke gar tuu mile to ham tujh se
aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n

bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz'
kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n



 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Tu na Hindu Banega na Musalman Banega
Sahir Ludhianvi

Tu na Hindu Banega na Musalman Banega
insaan ki aulaad hai insaan banega

achha hai abhi tak tera kuchh naam nahin hai
tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hai
achha hai abhi tak tera kuchh naam nahin hai
tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hai

jis ilm ne insaan ko taqseem kiya hai
us ilm ka tujh par koi ilzaam nahin hai
tu badle hue waqt ki pehchan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega
tu hindu banega na musalmaan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega

maalik ne har insaan ko insaan banaya
hum ne use hindu ya musalmaan banaya
maalik ne har insaan ko insaan banaya
hum ne use hindu ya musalmaan banaya

kudrat ne bakshi thi hamein ek hi dharti
humne kahin bharat kahin iraan banaya
jo mod de har band wo tufaan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega
tu hindu banega na musalmaan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega

nafrat jo sikhaye, wo dhaam tera nahin hai
insaaf jo ronde, wo kadam tera nahin hai
nafrat jo sikhaye, wo dhaam tera nahin hai
insaaf jo ronde, wo kadam tera nahin hai

quraan na ho jisme wo mandir nahin tera
geeta na ho jisme wo dharam tera nahin hai
tu aman ka aur sulah ka araman banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega
tu hindu banega na musalmaan banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega

ye deen ke tajar ye watan bechne waale
watan bechne waale
ye deen ke tajar ,ye watan bechne waale
insaano ki laashon ke qafan bechne waale
qafan bechne waale
insaano ki laashon ke qafan bechne waale
ye mehel mein baithe hue qaatil ye lootere
kaanton se madh rooh-e-chaman bechne waale
kaanton se madh rooh-e-chaman bechne waale
tu in ke liye maut ka elaan banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega
tu hindu banega na musalmaan banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Hum Laye Hain Tufaan Se Kishti Nikal Ke


Hum Laye Hain Tufaan Se Kishti Nikal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke
Tum Hi Bhavishhya Ho Mere Bharat Vishal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Dekho Kaheen Barbaad Na Hove Ye Bagichaa
Isko Hriday Ke Khuun Se 'Baapu Ne Hain Sincha
Rakha Hain Ye Chiraag Shaheedo Ne Bal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Duneeya Ke Daw Pench Se Rakhna Na Wastaa
Manzeel Tumharee Duur Hain Lamba Hain Rasta
Bhatka Na De Koyee Tumhe Dhoke Mein Dal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

Atom Bamon Ke Zor Pe Aithhi Hai Ye Duneeya
Baarud Ke Ek Dher Pe Baithhi Hai Ye Duneeya
Tum Harr Qadam Uthaana Zara Dekh Bhal Ke
Iss Desh Ko Rakhna Mere Bachon Samhal Ke

 
Last edited by a moderator:

Zaki

Regular Member
Joined
Apr 26, 2010
Messages
401
Likes
68
Country flag
roman plzzz.......find video if you can:)
ooops i thought i posted a video in my last post

Well here is a video of the same poetry that i shared in urdu script


with english translation

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Jo Vaada Kiya Woh Nibhaana Padega

Sahir Ludhianvi

Jo Vaada Kiya Woh Nibhaana Padega
Roke Zamaana Chaahe Roke Khudaai
Tumko Aana Padega

Tarasti Nigaahon Ne Aawaz Di Hai
Mohabbat Ki Aahon Ne Awaaz Di Hai
Jaane Hayaa Jaane Ada Chodo Tarsaana
Tumko Aana Padega

Ye Maana Hamein Jaan Se Jaana Padega
Par Ye Samajh Lo Tumne Jab Bhi Pukaara
Humko Aana Padega...

Hum Apni Wafaa Pe Na Ilzaam Lenge
Tumhe Dil Diya Hai Tumhe Jaan Bhi Denge
Jab Ishq Ka Sauda Kiya, Phir Kya Ghabraana
Humko Aana Padega

Chamakte Hain Jab Tak Yeh Chaand Aur Taare
Na Tootenge Ab Keh Do Paimaan Hamaare
Ek Doosra Jab De Sadaa Hoke Dewaana
Humko Aana Padega

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Sahir Ludhianavi

Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda�

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda�

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Maein Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
ta.ng aa chuke hai.n kash-ma-kash-e-zindagii se ham
Sahir Ludhianvi

ta.ng aa chuke hai.n kash-ma-kash-e-zindagii se ham
Thukaraa naa de.n jahaa.N ko kahii.n bedilii se ham
maayuusii-e-ma'al-e-mohabbat naa puuchhiye
apano.n se pesh aaye hai.n begaanagii se ham
[ma'al=consequence]
lo aaj hamane to.D diyaa rishtaa-e-ummiid
lo ab kabhii gilaa naa kare.nge kisii se ham
ubhare.nge ek baar abhii dil ke val-vale
go dab gaye hai.n baar-e-Gam-e-zindagii se ham
gar zindagii me.n mil gaye phir ittafaaq se
puuchhe.nge apanaa haal terii bebasii se ham
allaah re fareb-e-masahiiyat ke aaj tak
duniyaa ke zulm sahate rahe Khaamoshii se ham
[masahiiyat=God's will]
ham Gam-zadaa hai.n laaye kahaa.N se Khushii ke giit
de.nge wahii jo paaye.nge is zindagii se ham

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Taaj Mahal
Sahir Ludhianvi

Taaj tere liye ik mazahar-e-ulfat hii sahii
tum ko is vaadii-e-rangii.n se aqiidat hii sahii
[mazahar-e-ulfat=symbol of love; vaadii-e-rangii.n=beautiful spot; aqiidat=respect/preference?]
mere mahabuub kahii.n aur milaa kar mujh se!
bazm-e-shaahii me.n Gariibo.n kaa guzar kyaa maanii
sabt jis raah pe ho.n satavat-e-shaahii ke nishaa.N
us pe ulfat bharii ruuho.n kaa safar kyaa maanii
[bazm-e-shaahii=royal court; sabt=etched]
[satavat-e-shaahii=royal grandeur; ulfat bharii ruuh=lovers]
merii mahabuub pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa
tuu ne satavat ke nishaano.n ko to dekhaa hotaa
murdaa shaaho.n ke maqaabir se bahalevaalii
apane taariik makaano.n ko to dekhaa hotaa
[pas-e-pardaa-e-tashhiir-e-vafaa=behind the veil of this advertisement of faith/love]
[satavat=wealth/grandeur; maqaabir(maqabaraa)=tomb; taariik=dark]
anaginat logo.n ne duniyaa me.n muhabbat kii hai
kaun kahataa hai ki saadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tashhiir kaa saamaan nahii.n
kyuu.N ke vo log bhii apanii hii tarah mufalis the
[saadiq=true; tashhiir=advertisement; mufalis=poor]
ye imaaraat-o-maqaabir ye fasiile.n, ye hisaar
mutal-qulhukm shahanashaaho.n kii azamat ke sutuu.N
daaman-e-dahar pe us rang kii gulakaarii hai
jis me.n shaamil hai tere aur mere ajadaad kaa Khuu.N
[hisaar=forts; mutal-qulhukm=unthinking/arrogant; azamat= greatness; sutuu.N=symbol]
[daaman-e-dahar=on the face of this world; gulakaarii=flowers and vines; ajadaad=ancestors]
merii mahabuub! u.nhe.n bhii to muhabbat hogii
jinakii sannaa_ii ne baKhshii hai ise shakl-e-jamiil
un ke pyaaro.n ke maqaabir rahe benaam-o-namuud
aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qa.ndiil
[sannaa_ii=artistry; shakl-e-jamiil=beautiful form]
[benaam-o-namuud=without name or even a trace; qa.ndiil=candle]
ye chamanazaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal
ye munaqqash dar-o-diivaar, ye maharaab ye taaq
ik shahanashaah ne daulat kaa sahaaraa le kar
ham Gariibo.n kii muhabbat kaa u.Daayaa hai mazaak
[chamanazaar=garden; munaqqash=picturesque]
mere mahabuub kahii.n aur milaa kar mujhase!


 
Last edited by a moderator:

Zaki

Regular Member
Joined
Apr 26, 2010
Messages
401
Likes
68
Country flag
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho

Tarapnay Pay Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho

Hoonton K Paas Aaye Hasi Kia Majaal Hai
Dil Ka Moamla Hai Koi Dillagi Nahi

Zakhm Pay Zakhm Pay Kha K Ji Apnay Laho K Ghoont Pe
Aah Na Ker Laboon Ko See Ishq Hai Dillagi Nahi

Dil Laga Ker Pata Chalay Ga Tumhein
Aashqi Dillagi Nahi Hoti

Kuch Khail Nahi Hai Ishq Ki Laag
Pani Na Samajh Yeah Aag Hai Aag

Khoon Rula'ay Gi Yeah Lagi Dil Ki
Khail Samjho Na Dillagi Dil Ki

Yeah Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Li Jay
Ik Aag Ka Darya Hai Aur Doob K Jana Hai

Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho

Tarapnay P Mairay Na Phir Tum Haso Gay
Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker To Daikho

Wafaoon Ki Hum Say Tawwaqu Nahi Hai
Magar Aik Baar Aazma Ker To Daikho

Zamanay Ko Apna Bana Ker To Daikha
Hamein Bhi Tum Apna Bana Ker To Daikho


Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Rukh Say Naqaab Utha Ke

Bari Dair Ho Gaye Maahol Ko Tilawat-E-Quran Kiyeah Hoay
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah

Hum Na Samjahy Teri Nazroon Ka Taqaza Kia Hai
Kabhi Pardah Kabhi Jalwa Yeah Tamasha Kia Hai

Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah

Jane E Jaan Hum Say Yeah Uljhan Nahi Dekhi Jati
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah

Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah
Khuda K Liyeah Chor Do Ub Yeah Pardah

Ke Hein Aaj Hum Tum Nahi Ghair Koyi
Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijaab Is Qadar Kiyoon

Zara Rukh Say Aanchal Utha Ker To Daikho
Jafa'ein Bohot Kiii Bohot Zulm Dha'ay

Kabhi Ik Nigah-E-Karam Is Taraf Bhi
Hamesha Ho'ay Daikh Ker Mujh Ko Barham

Kisi Din Zara Muskura Ker To Daikho
Jo Ulfat Mein Har Ik Sitam Hai Gawara

Yeah Sub Kuch Hai Paas E Wafa Tum Say Warna
Sata'tay Ho Din Raat Jiss Tarah Mujh Ko

Kisi Ghair Ko Yoon Sata Ker To Daikho
Agar Chay Kisi Baat Per Woh Khafa Hein

To Acha Yeah He Hai Tum Apni Si Ker Lo
Woh Manay Na Manay Yeah Marzi Hai Un Ki

Magar Un Ko Purnam Mana Ker To Daikho
Tumhein Dillagi Bhool Jani Paray Gi
Mohabbat Ki Raahon Mein Aa Kar To Daikho

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
nuur_jahaan ke mazaar par
Sahir Ludhianvi

pahaluu-e-shaah me.n ye duKhtar-e-jamahuur kii qabar
kitane gum_gushtaa fasaano.n kaa pataa detii hai
kitane Khuurez haqaayaq se uThaatii hai naqaab
kitanii kuchalii hu_i jaano.n kaa pataa detii hai

kaise maGruur shahanshaaho.n kii taskii.n ke liye
saal_haa_saal hasiinaao.n ke baazaar lage
kaise bahakii hu_ii nazaro.n kii taa_ish ke liye
surKh mahalo.n me.n javaa.N jismo.n ke anbaar lage

sahamii sahamii sii fizaao.n me.n ye viraa.N marqad
itanaa Khaamosh hai fariyaad_kunaa ho jaise
sard shaaKho.n me.n havaa chiiKh rahii hai aise
ruuh-e-taqadiis-o-vafaa marsiyaa_Khvaa.N ho jaise

tuu merii jaa.N hairat-o-hasarat se na dekh
ham me.n ko_ii bhii jahaa.N nuur-o-jahaangiir nahii.n
tuu mujhe chho.D ke Thukaraa ke bhii jaa sakatii hai
tere haatho.n me.n meraa saat hai zanjiir nahii.n
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
PARCHAIYAAN (PART 2)
SAHIR LUDHYANVI


Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Woh lamhe kitnay dilkush thay,woh ghadiyaan kitni piyari thi
Woh sayhray kitnay naazuk thay,woh ladiyaa-n kitni piyari thi
Busti ki her ek shadaab kali, khwaabo-n ka zajeera thi goyaa
Her mauj-e nafas her mauj-e sabaa, nagmo-n ka zakheeraa thi goya
Nagaah lahektay khayto-n se, taapo ki sadaaye-n aanay lagi
Baarood kay bojhal boo lay ker, pach-chim se hawaa-en aanay lagi
Taameer ke roshan chahray per, takhreeb ka badel phail gaya
Her gaaon may wahshet phail uthi,her shaher may jungel phail gaya
Magrib ke muhaz-zib mulko-n se, kuch khaki vardi posh aaye
Ithlaatay huway magroor aaye, lahraatay huway madhosh aaye
Khamosh zamee-n ke seenay may, khaymo-n ki tanaabay gadhnay lagi
Mukh-khen si mulaayem raaho-n per, booto-n ke khraashay-n padnay lagi
Faujo-n ke bhyaanek band talay, churkho-n ki sadaa-en doob gayi
Jeep-on ki soolagti dhool talay, phoolo-n ki Qabaaye-n doob gayi

Insaan ki Qeemat girnay lagi,ajnaas ke bhao bhi badhnay lagay
Chaupaal ki raunaque ghatnay lagi,bharti ke dafaatir badhnay lagay
Busti ke sajeelay shokh jawaa-n, bun bun ke sipaahi jaanay lagay
Jis raah se kum hi laot sakay,us raah pe raahi jaanay lagay
In jaanay waalay dusto-n may, gairut bhi gayi bernaai bhi
Maao-n ke jawaa-n baytay bhi gaye, bahno-n ke jawaa-n bhai bhi gaye

Busti pe udaasi chanay lagi, maylo-n ki bahaaray-n khatem huwi
Aamo-n ki lachakti shaakho-n se, zhoolo-n ki qataaray-n khatem huwi
Dhool udnay lagi bazaaro-n may,bhookh ugnay lagi khaliyaano may
Her cheez dookaano se uth ker, rooposh huwi teh-khaano may
Bud haal gharo-n ki bud haali, badhtay badhtay janjaal bani
Mehngaai badh ker kaal bani,saari busti kangaal bani
Cherwaahiyaa-n rustaa bhool gayi,penhaariyaa-n penghat chodh gayi
Kitni hi kanwaari ablaa-en, maa baap ki chaukhut chodh gayi

Aflaas zadaa dayhqaano ke, hul bail bikay khaliyaan bikay
Jeenay ki tamanna ke haatho-n, jeenay hi ke sub saamaan bikay
Kuch bhi na raha jub biknay ko,Jismo-n ki tijaarut honay lagi
Khilwat may bhi jo mumnoo-a thi jo,jilwat may jasaarut honay lagi

Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
PARCHAIYAAN-part 1

SAHIR LUDHYANVI

Jawaan raat ke seenay may dhoodhyaa aanchal
Machal raha hai kisi khwaab marmari ki trah

Haseen phool,hasee-n pat-tiyaa-n, hasee-n shaakhay-n
Lachak rahi hai kisi jism naznee-n ki trah

Fiza may ghul se gaye hai ufaque ke nurm khtoot
Zamee-n haseen hai khwaabo ki sir-zamee-n ki trah

Tasawuraat ki parchaiyaan ubharti hai
kubhi gumman ki soorat kubhi yaqee-n ki trah

Woh pay-d jin ke talay hum panaah laytey hai
Khaday hai aaj bhi saakit kisi amee-n ki trah

Inhi ke saayay may phir aaj do dhadhaktay dil
Khmosh hoonto-n se kuch kahnay sun-nay aaye hai

Na jaane kitni Kashakash se kitni kaavish se
Ye sotay jaagtay lamhay chura ke laaye hai

Yehi fiza thi yehi rut yehi zamaana tha
Yehi se hum ne mohabbat ki ibtidaa ki thi

Dhadhaktay dil se larazti huwi nigaaho-n se
Huzoor-e ghaib main nunnhi se iltaja ki thi

Ke aarzoo kay kanwal khil kay phool ho jaaye
Dil-o nazar ki duwaa-en qabool ho jaaye

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Tum aa rahi ho zamaanay ki aankh se buch ker
Nazar zhukaaye huway aur badan churaaye huway

Khud apnay qadmo-n kay aahut say jhaypti durti
Khud apnay saaye ki junbish se khauf khaye huway

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Rawaa-n hai choti si kushti hawao-n ke rukh per
Nadi kay saaz pay mallah geet gata hai

Tumhara jism her ek laher kay jhakolay say
Meri khuli huwi baahon may jhool jaata hai

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Mai phool taank raha hoon tumharay jooday may
Tumhaari aankh musar-rat se jhukti jaati hai

na jaanay aaj main kiya baat kahnay wala hoon
Zabaan khushk hai awaaz rukti jaati hai

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Mere galay main tumhari gudaaz baahay-n hai
Tumharay hoto-n pay mere labo-n ke saaye hai

mujhay yaqeen ke hum ab kubhi na bichday gay
Tumhay yaqeen ke hum mil kay bhi paraaye hai

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Mere pulung pay bikhri huwi kitaabo-n ko
Adaa-e izjo-karam say utha rahi ho tum

Suhaag raat jo dholak pay gaaye jaatay hai
Dabay sooro-n may wohi geet gaa rahi ho tum

Tasa-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
PARCHAIYAAN (PART 3)
SAHIR LUDHYANVI


Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Tum aa rahi ho sir-e-shaam baal bikhraaye
Huzaar gona malaamut ka bar uthaye huway
Hawes parast nighahon ki cheera-dusti say
Baden ki jhaypti uriyaaniyet chupaa-ay huway

Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Main shaher ja kay her ek der pay jhaank aaya hoon
Kisi jagaa meri mehnut ka mol mil na saka
Sitam-garon ke siyaasi qoomar-khano may
alum naseeb furaaset ka mol mil na saka

Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Tumharay ghar main qiyaamet ka shor burpaa hai
Mahaaz-e jung se herkaara taar laya hai
Ke jis ka ziker tumhay zindagi se piyaara tha
Woh bhai nurgaa-e dushmen may kaam aaya tha

Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Her ek gaam pay bud-naamiyon ka jumghat hai
Her ek mode pay ruswaaiyon kay mailay hai
Na dosti na takkaloof na dilbari na khaloos
kisi ka koi nahin aaj sub akaylay hai

Tasaw-wooraat ki parchaiyaan ubharti hai

Woh reh-gujer jo mera dil ki trah soi hai
Na jaane tum ko kahaan lay ke jaanay waali hai
Tumhay khareed rahay hai zameer ke qatil
Ufaque pe khoon-e tamanna -e dil ki laali hai

Tasw-woorat ki parchaiyaan ubharti hai
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Paon choo lene do
SAHIR LUDHYANVI

Paanv Chhuu Lene Do Phuulon Ko Inaayat Hogii, Inaayat Hogii
Varanaa Hamako nahiin, Inako Bhii Shikaayat Hogii
Shikaayat Hogii
Aap Jo Phuul Bichhaaen Unhen Ham Thukaraaen - 2
Hamako Dar Hai
Hamako Dar Hai Ke Ye Tauhiin-E-Muhabbat Hogii, Muhabbat Hogii
Paanv Chhuu Lene Do
Dil Kii Bechain Umangon Pe Karam Faramaao - 2
Itanaa Ruk Ruk
Itanaa Ruk Ruk Ke Chaloge To Qayaamat Hogii, Qayaamat Hogii
Paanv Chhuu Lene Do
Sharm Roke Hai Idhar, Shauk Udhar Khiinche Hai - 2
Kyaa Khabar Thii
Kyaa Khabar Thii Tabhii Is Dil Kii Ye Haalat Hogii
Ye Haalat Hogii
Paanv Chhuu Lene Do
Sharm Gairon Se Huaa Karatii Hai Apanon Se nahiin - 2
Sharm Ham Se
Sharm Ham Se Bhii Karoge To Musibat Hogii, Musibat Hogii
Paanv Chhuu Lene Do

 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
jo baat tuz mein hai, teree tasaweer mein nahee

Sahir Ludhianvi

jo baat tuz mein hai, teree tasaweer mein nahee

rangon mein teraa aks dhalaa, too naa dhal sakee
saanson kee aanch jism kee khushaboo naa dhal sakee
tuz mein jo loch hai, meree tahareer mein nahee

bejaan husn mein kahaa, raftaar kee adaa
inkaar kee adaa hai, naa ikaraar kee adaa
koee lachak bhee julf-ye-girahagir mein nahee

duniyaan mein koee cheej naheen hain teree tarah
fir yek baar saamane aajaa kisee tarah
kyaa aaur yek zalak meree takadeer mein nahee


 
Last edited by a moderator:

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
zurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain
Sahir Ludhianvi
zurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain
zurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain
kaise naadaan hain, sholon ko hawaa dete hain
kaise naadaan hain
hamse deewaane kahin tar ke wafaa karte hain
hamse deewaane kahin tar ke wafaa karte hain
jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain
jaan jaaye
takht kyaa cheez hai aur laal-o-jawaahar kyaa hai
takht kyaa cheez hai aur laal-o-jawaahar kyaa hai
ishq waale to khudaayi bhi lutaa dete hain
ishq waale
hamne dil de bhi diyaa ahad-e-wafaa le bhi liyaa
hamne dil de bhi diyaa ahad-e-wafaa le bhi liyaa
aap ab shauk se deden jo sazaa dete hain
zurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain

 
Last edited by a moderator:

Latest Replies

Global Defence

New threads

Articles

Top