Urdu sher-o-shayari

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Yeh Jo Raig-e-Dasht-e-Firaaq Hai
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
Yeh rukay agar to nishaa.n milay, yeh nishaa.n milay
Keh jo faaslon ki saleeb hai
Ye gari hui hai kahaan kahaan
Mere aasmaa.n se kidhar gayee tere iltefaat ki kehkashaan
Mere bekhabar, mere benishaa.n
Ye rukay agar to pata chalay
Main tha kis nagar, tu raha kahaan
Keh zaman-o-makaa.n ki vus'atain
Tujhay dekhnay ko taras gayeen
Vo meray naseeb ki barishain
Kisi aur chatt pe baras gayeen
Meray chaar soo hai vo gubhaar-e-jaa.n, vo fishaar-e-jaa.n
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Mere khaab se teray baam tak
Teri rehguzar ka to zikr kia
Nahin zaufishaan tera naam tak
Hain dhuaan dhuaan meray usthakhvan
Meray aansuon mein bujhay huay meray ustakhvan
Meray naqsha gar, meray naqsha jaa.n

Isi raig-e-dasht-e-firaaq mein rahay muntazir teray muntazir
Meray khaab jin ke fishaar mein
Rahi meray haal se bekhabar
Teri rehguzar
Teri rehguzar ke jo naqsh hai meray haath per
Magar is bala ki hai teergi
Keh khabar nahin meray haath ko meray haath ki
Vo jo chashm-e-sho'bida saaz thi vo uthay agar
Mere ustakhvan mein ho raushni
Usi aik lamha-e-deed mein teri rehguzar
Meri teera jaa.n mein chamak uthay
Meray khaab say tere baam tak
Sabhi manzaron mein damak uthay
Usi aik pal mein ho jaavidaa.n
Meri arzoo ke hai be-karaa.n
Meri zindagi ke hai mukhtasar
Yeh jo raig-e-dasht-e-firaaq hai, yeh rukay agar
 

ajtr

Tihar Jail
Banned
Joined
Oct 2, 2009
Messages
12,038
Likes
723
Is Mein Kya Shak Hai Ke Muhkim Hai Yeh Ibleesi Nizam
Pukhta-Tar Is Se Hoye Khooy-e-Gulami Mein Awaam

Hai Azal Se In Ghareebon Ke Muqaddar Mein Sujood
In Ki Fitrat Ka Taqaaza Hai Namaz-e-Be-Qayaam

Aarzoo Awwal To Paida Ho Naheen Sakti Kaheen
Ho Agar Paida To Marjaati Hai Ya Rehti Hai Khaam

Yeh Hamari Sayi-e-Paiham Ki Karamat Hai Ke Aaj
Sufi-o-Mulla Malookiat Ke Bande Hain Tamam

Tib'e-Mashriq Ke Liye Kaafi Yehi Afyoon Thi
Warna Qawwali Se Kuch Kamtar Naheen Ilm-e-Kalaam

Hai Tawaaf-o-Hajj Ka Hangama Agar Baqi to Kya?
Kund Ho Kar Reh Gayi Momin Ki Taigh-e-Be-Nayaam
 

Ray

The Chairman
Professional
Joined
Apr 17, 2009
Messages
43,132
Likes
23,835
What is the difference between a Geet and a Gazal?
 

ejazr

Ambassador
Joined
Oct 8, 2009
Messages
4,523
Likes
1,388
Sham-e-Firaaq (Evening of Seperation) by Faiz Ahmed Faiz

Sham-e-firaq aab na pooch, aai aur aa ke Tul gai
dil tha ke phir bhehal gaya, jaaN thee ke phir sanbhal gai

bazm-e-Khayal maiN tere husn ki shama jal gai
dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat Dhal gai

jab tujhey yaad kar liya subha mehak mehak uThee
jab tera ghum jaga liya raat machal machal gai

dil se to her muamla kar ke chale thai saaf hum
kehney maiN onkey samney baat badal badal gai

aaKhir-e-shab ke humsafar "faiz" najaney kya hoey
reh gai kis jaga saba, subha kidhar nikal gai


Translation:

Ask no more (about) the night of separation; it came, and passed
The heart got diverted again; life found its feet again

in the salon of (my) thoughts, the candle of your beauty was lighted
the moon-of-pain extinguished itself, the night of separation slipped away

whenever you were remembered, the mornings became fragrant
when your pain was awakened, the nights grew restless

in the heart i had sorted out all the issues before setting out
(however) while recounting before her, (my) words changed themselves

who knows where the fellow-travellers of the end-of-the-night went, Faiz?
at which spot did the breeze get left behind? and which way did the dawn walk off?

Nice rendition by Ali Sethi at Jaipur Literary festival
 
Last edited by a moderator:

ejazr

Ambassador
Joined
Oct 8, 2009
Messages
4,523
Likes
1,388
What is the difference between a Geet and a Gazal?
I think the hindi word kavita would be similar to Ghazal, with Ghazal being the Urdu/Farsi word for it. Wikipedia has a nice entry about Ghazals http://en.wikipedia.org/wiki/Ghazal
Then you have qaseedas which are just longer poems or songs. This would be similar to geet.

Ghazals also are mainly around the concept of love and seperation and have a "sad" tinge and melanchony strain to it. The love can be about divine love as in many sufi ghazals also called ishq -e- haqiqi (real love) or about a love interest who could not be attained in this world also called ishq -e - majazi (earthly love)
 

Singh

Phat Cat
Super Mod
Joined
Feb 23, 2009
Messages
20,311
Likes
8,403
Country flag
Ghazal : La pilade sakiya - Pankaj Udhas

Patti Patti gulab ho jati; har kali mehakhwab ho jati
tune dali na mehfisha nazaren; varna shabnam sharab ho jati

Patti Patti gulab kya hogi; har kali mehakhwab kya hogi
Jisane laakhon haseen dekhen ho; usaki niyat kharaab kya hoti

La pila de sakiya paimana paimane ke baad
hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad

Dil mera lene ki khaatir; minnate kya kya na ki
Kaise nazaren pher li; matlab nikal jaane ke baad
La pilade sakiya paimana paimane ke baad

Waqt saari zindagi me dohi guzare hai kathin
ek tere aane se pahele ; ek tere jaane ke baad
La pilade sakiya paimana paimane ke baad

Surkh ru hota hai insaan thokare khaane ke baad
rang lati hai heena ; patthar pe pis jane ke baad
La pilade sakiya paimana paimane ke bad
hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad
La pilade sakiya paimana paimane ke baad
 

Poseidon

Senior Member
Joined
May 28, 2011
Messages
2,000
Likes
6,457
Country flag
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
Ahmed Faraz

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
 

farhan_9909

Tihar Jail
Banned
Joined
Aug 30, 2012
Messages
5,895
Likes
497
Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai ?

Rahi Naa Taqat-e-Guftaar Aur Agar Ho Bhi..
Toh Kis Umeed Pe Kahiye Ki Aarzu Kya Hein.
 

MissKanchan

New Member
Joined
Apr 24, 2015
Messages
1
Likes
1
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
 

Neo

Senior Member
Joined
Feb 17, 2009
Messages
4,514
Likes
964
Hamesha Der Kar Deta Hun Main


Zaruri Bat Kahni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Use Awaz Deni Ho
Use Wapas Bulana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Madad Karni Ho Uski
Yar Ki Dharas Bandhana Ho
Bahut Derina Raston Par
Kisi Se Milne Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Badalte Mausamon Ki Sair Main
Dil Ko Lagana Ho
Kisi Ko Yad Rakhna Ho
Kisi Ko Bhul Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main

Kisi Ko Maut Se Pahle
Kisi Gam Se Bachna Ho
Haqiqat Aur Thi Kuch
Us Ko Ja K Ye Batana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
 

Neo

Senior Member
Joined
Feb 17, 2009
Messages
4,514
Likes
964
I think the shaayar means "yaa" & "dhairas".
Beg to disagree, its "yar"(=friend/companion/partner/lover)
And dharas which means comfort or encouragement.
Dharas bhandhana means ke kisi ko umeed ya haunsla dilana.
Never trust urdu shayeri in roman letters, always go for the original urdu text.
 

Haldilal

लड़ते लड़ते जीना है, लड़ते लड़ते मरना है
Senior Member
Joined
Aug 10, 2020
Messages
29,497
Likes
113,304
Country flag
Alimudillah
Ya'll Nibbiars to phir sunk aur ek ghatae sher.
@12arya Nibbi. :troll:
Tera pyar ke liye Maine kiya Intaazar.
Tera pyar ke liye Maine kiya Intaazar.
Aur us Intaazar mein Maine khayaae Kitna Popcorn.

Kaisa laga mera ghatae sher.
 

Global Defence

New threads

Articles

Top