Maa maine teri Khakh se Janam liya,
maine har pal tujhe yaad kiya,
maine tere siva kisi ko bhi maa ka darjaa na diya,
par tumne kiyoun nahi kabhi mujhe yaad kiya,
kya tha mera kasur aaj bata do bus mujhe itna tum,
logo ne mujhe taane de de kar maar diya,
par tumne bhi mujhe kabhi pyar na kiya,
ek baar agar tum mujhe gale laga leti
to shayad ye mera gum kam ho jata,
sirf ek baar tum mere aansu dekh leti
to shayad mujhe zindaghi se dubara pyar ho jata,
mujhe dukh iss baat ka nahi ki duniyaa mujhe bura kehti hai ,
dukh to mujhe iss baat ka hai ki tu mujhse judaa rehti hai,
mein tujhe batati nahi par aaj bhi tera intezaar karti hoon,
din ho yaa raat ho, aaj bhi tujhe yaad karti hoon....